How to download and install Blender software? (Hindi)

Blender Ko Kaise Download Aur Install Karen?

Blender ek free aur open, modeling, rendering, aur vfx jaise kai kaam ke liye use hota hai. Agar aap Blender ko apne system par install karna chahte hain, to neeche diye gaye steps ko follow karke aap aasani se isse download aur install kar sakte hain.

Google-search

Step 1: Open officeal Website

  1. Apne browser mein Blender ki official website open karein.

  2. Homepage par hi aapko “Download Blender” ka button dikhai dega.

operating system

Step 2: Select your operating system

  1. Download page par aapko Blender ke alag-alag versions milenge jo Windows, macOS, aur Linux ke liye available hote hain.

  2. Apne system ke operating system ke mutabik version select karein.

    • Windows ke liye: .exe file.

    • macOS ke liye: .dmg file.

    • Linux ke liye: .tar.xz file.

download blender

Step 3: download blender file

  1. “Download” button par click karein.

  2. File ka size lagbhag 200-300 MB hoga, isliye ensure karein ki aapke paas achhi internet speed ho.

Installation Process
Run
next
next3
procece

Step 4: Installation Process (Windows Example)

  1. Download hone ke baad, .exe file par double-click karein.

  2. Ek installation wizard open hoga. “Next” button par click karein.

  3. License Agreement ko accept karein aur “Next” par click karein.

  4. Installation location choose karein (default location theek rahega).

  5. “Install” button par click karein aur installation complete hone ka wait karein.

Step 5: Open Blender

  1. Installation complete hone ke baad, “Finish” button par click karein.

  2. Aapke desktop par Blender ka shortcut icon dikhai dega. Us par double-click karke Blender open karein.

  3. Ab aap Blender ka use karne ke liye ready hain!

Extra Tips:

  • Blender use karne ke liye aapke system mein achhi graphics capability honi chahiye. Minimum requirements check karna na bhoolein.

  • Blender ke naye users ke liye tutorials dekhna aur practice karna zaroori hai.

Agar aapko ye guide helpful lagi ho, to apne doston ke saath share karein aur naye Blender tutorials ke liye hamare YouTube channel ko subscribe karein aur blog ko follow karein!

Blender Ki Jyada Jankari Ke Liye

Agar aap Blender ke features aur uske use ke baare mein detail mein jaana chahte hain, to hamari post What is Blender? Hindi me padh sakte hain. Is post mein aapko Blender ke basics, uske tools, aur use cases ke baare mein complete information milegi. Yeh naye users ke liye kaafi helpful ho sakta hai!

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top
Open chat
1
Have Questions?
Scan the code
Hi!
Thanks for contacting SignMe.
How can we help you today?