
Aksar yeh sawal pucha jata hai, “What is Graphic Design?” ya “Graphic Design kya hota hai?” Chaliye, aaj hum isi bare mein jaan lete hain. Sabse pehle, is topic ko samajhne ke liye hum kuch basic baatein dekhenge. Phir, hum iske detailed aspects ko explore karenge. Aakhir mein, main aapko kuch practical tips bhi dunga.
Graphic Design ka matlab hai woh cheez jo kisi product ya service ko visually appealing (dikhne me aakarshit) banata hai. Iska matlab hai, kisi product ya service ko Customer ko samjhane ya attract karne ke liye visually design karna.
Table of Contents
What is Graphic?
“Jab hum ‘Graphic Design‘ ke baare mein baat karte hain, to ismein do shabdon ka use hota hai: ‘Graphic’ aur ‘Design.’
Sabse pehle, Graphic ka matlab hai geometric diagrams, jisme lines, curves, aur shapes jaise square, triangle, aur polygon shamil hote hain. Iske baad, hum ‘Design’ ka matlab samajhte hain,
What is Design?
Design ka matlab kaafi broad hai; design ka matlab hai kisi problem ka solution.
Jaise main hamesha bolta hoon, koi bhi cheez jab bhi bani hai, uske peeche koi na koi history hoti hai. Jaise ki sabhi jaante hain, YouTube friends ke saath video share karne ki problem ko solve karne ke liye banaya gaya tha. 2005 se pehle video ko share karna utna aasan nahi tha, lekin YouTube ke aane ke baad sab kuch aasaan ho gaya. Yah ek problem thi, aur isliye America ke kuch dost milkar YouTube design karne me safal hue.
Vaise hi, har ek cheez ka koi na koi purpose ya problem solve karne ke liye design ki gayi hai. Jaise chair ka example lein: Jab chair nahi thi, to log neeche baithte the, fir paththar ya lakdi ka stool use karte the. Aise karte karte unhone baithne ke liye ek comfortable aur supportive design banaya, jo aaj hum chair ke roop mein dekhte hain.
To design ka matlab hai kisi bhi problem ka solution dhundhna. Ab aapko shayad design ka matlab samajh aa gaya hoga.
Graphic Design ke kuch example – traffic sign, logo design, drawing, calligraphy, photo editing, product design, banner design, etc. Bahut saare designs Graphic Design mein aate hain.
Mujhe lagta hai, ab aapko Graphic Design achhe se samajh aa gaya hoga.
What is the definition of graphic design?
Chaliye, ab hum kuch Graphic Design ki definitions dekhte hain: What is the definition of graphic design?
Graphic Design ki definition ko samajhne ke liye, pehle alag-alag perspectives ko dekhte hain:
- General Definition:
Graphic Design ek visual communication ka medium hai jisme text, images, aur colors ka creative combination use karke ideas aur messages ko convey kiya jata hai. - Professional Perspective:
Graphic Design ek process hai jisme typography, photography, illustration, aur layout ka use karke print, digital, aur branding ke liye visually appealing designs banayi jaati hain. - Simplified Explanation:
Graphic Design ka matlab hai kisi bhi information ko aise design karna ki woh visually attractive ho aur audience ko jaldi samajh aaye. - Technical Definition:
Graphic Design ek applied art form hai jo design principles aur tools ka istemal karta hai, jaise Adobe Photoshop, Illustrator, ya Canva, takki creative solutions develop kiya ja sakein.
Aapke liye ek simple aur saral definition :
“Graphic Design wo process hai jisme visual elements, jaise graphics aur text ka istemal karke messages ko viewers tak asaani se pahuchaya jata hai.”
Watch what is graphic design in marathi
marathi me samj ke lene ke liye aap video dekh saskte hai.
Graphic Design ka aaj ke jamane me kya scope hai, aur hume graphic design krana chahiye ya nhi ye janane ke liye aap ye post dekh sakte hai : ye link par click karein aur dekhe-
Graphic Design ka aaj ke jamane me kya scope hai ?